पापांकुशा एकादशी

papankusha ekadshi  

Views : 5505 | November 2008
papakunsha ekadshi yah vrat ashvin mah ke shukla paksh ki ekadshi ko kiya jata hai. vrati pratahkal nitya karmon, snanadi se nivriÿa hokar bhagvan vishnu ka bhakti bhav se pujan adi karke bhog lagate hain. fir yathasanbhav brahman ko bhojan kara kar dan v dakshina dete hain. is din kisi bhi ek samay falahar kiya jata hai. katha hai ki prachin samay men vindhya parvat par krodhan namak ek baheliya rahta tha. vah bara krur tha. uska sara jivan pap karmon men bita. jab uska ant samay aya, to vah mrityu-bhay se kanpta hua maharshi angira ke ashram men pahunchakar yachna karne laga- ‘‘he rishivar ! mainne jivan bhar pap karm hi kie hain. kripa kar mujhe koi aisa upay bataen jisse mere sare pap mit jaen aur moksh ki prapti ho jae.’’ uske nivedan par maharshi angira ne use papankusha ekadshi ka vrat karke prabhu kripa prapt karne ki salah di. tatpashchat usne purn shraddha ke sath yah vrat kiya, aur kie gae sare papon se chutkara pa liya.
Kya aapko lekh pasand aaya? Subscribe



Kya aapko lekh pasand aaya? Subscribe

Ask a Question?

Some problems are too personal to share via a written consultation! No matter what kind of predicament it is that you face, the Talk to an Astrologer service at Future Point aims to get you out of all your misery at once.

SHARE YOUR PROBLEM, GET SOLUTIONS

  • Health

  • Family

  • Marriage

  • Career

  • Finance

  • Business


.